Meri aankhon ka tara,
Meray dil ka suqoon,
Meri ruuh ki piyaas,
Meri shama ka noor.
Meri aag si teizee,
Meri barf si jullan,
Meray dil ki bechayni,
Meri jaan ki tarap.
Meri barsaton ki barish,
Meray geet ka sargam,
Meri kuliyon ki khushbu,
Meri mehndi ka rung.
Meri chaal ki lapak,
Meri zulfon ki chamak,
Meray honton ki mehak,
Meray aasman ki dhanak.
Yeh sub kuchh mera
Lekin mein? Kisi aur ki.
Thursday, September 27, 2012
Urdu Zabaan ki Shaan Mein Aik Pehli Gustaakhi (Muaf Farmaiyega)
Typed by Nur R. at 10:25 PM 3 comments
Subscribe to:
Posts (Atom)